Har khushi main kuch kum hain,
Har lamha, yeh aankhen num hain,
Har khushi hain baygaani kal se,
Har lamha tham gaya ho jaise,
Bus ek wajah se,
jisne badal di is zindagi ki har rah,
Bus ek wajah,
jisne mitta di sari chah,
Aaj phir woh sham ayi jab hum mile,
Aaj phir woh sham aayi jab hum bhoole saare shikwe aur gillay.
Par is rah main ab humain aur chalna hain,
Is rah main humain aur joonhjhna hain.
Bus us ek wajah ke liye jisse humain ek khwaab sa dekha hain,
Bus us ek wajah k liye jisse Khudda ne bhi kabhi nahi roka hain!
No comments:
Post a Comment