Thursday, March 27, 2014

a raging thought...

zindagi ki is kashmakash main, na tum haare na hum
zinda hoon kyunki, ab tak hua nahi hain kum
tujh pe bharosa ae zindagi
kyunki na lagi hain na lagegi, kisi se itni dillagi

Bus kuch lamhe hain woh, joh simat kar phir na laote
Kash inmain kuch aur he labz likhe hote,
par hum bhi thay nadan us waqt
jab in lamhon ne diya tha dastak,
par ehsaas hain humain kya tha woh ek lamha 
jisse na maana tha humne tab apna,
issi rah par jab hum thay
aaye thay woh humse milne,
aur humne muskurakar kaha
shayad yeh tumhe nahi hain pata,
hum jee sakte hain tumhare bina
na koi gham hain na hogi shikwa,
Bus kuch lamhe hain woh, joh simat kar phir na laote
Kash inmain kuch aur he labz likhe hote

zindagi ki is kashmakash main na tum haare na hum
zinda hoon kyunki, ab tak hua na kum
tujh pe bharosa ae zindagi
kyunki na lagi hain, na lagegi, kisi se itni dillagi